लोकप्रिय पोस्ट

प्रकृति का अधिकार


प्रकृति का अधिकार 

Prakrati hi duniya me ekmatra aisi chij hai jiske prakop se koi nahi bach sakta.. aur agar dene par aaye to saari khushiya hi de deti hai.. prakrati itni khubsurat chij h jiske vajah se aaaj hum jeevit hai.. itni sundar jagah aur chijo ka anubhav kar paate hai.. prakrati  ka adhikar h ya u kaho hamara adhikar h prakrati ko swacch rakhna kyoki hm kisi chij ko jitna swacch aur acche tarah se rakhenge utna hi vo jyada chalegi aur hmse khush rahegi.. ye formula har raste me chalta hai har chij me chalta hai aur har rishte me chalta h.. isi tarah duniya ki sabe aham prakrati k sath bhi,. Agar hum jyada se jyada matra me ped lageyenge to vo ped hame oxygen dega.. agr hum vatavaran ko jyada se jyada saaf rakhenge to prakrati ki hawa shuddh hogi aur hum jyada samaya tak jee payegen.. jyada samay tak beemari rahit rahenge.. swacchta ek aisi chij h jo hm jitni karenge utna hame laabh hoga… utna hi hamri aatma saaf hogi aur agar man shant aur saaf hoga to har kaam  shuddhta aur shiddat se hoga aur hum nischit hi aage badhenge.. agar prakarati ko saaf rakhne se hame itne laabh milte h to hame prakarati ki khud k jitni sewa karni chahiye kyoki agar vo h tabhi hm h.. vo nahi to ye duniya sath hi hum bhi khatma. Isliye jitna hame saanso ki jarurat hai utna hi prakrati ko swacchta ki kyoki prakrati swacch hogi tabhi vo hame swacch vatavaran degi.. hame prakrati ki sabse jyada jarurat hai.. agar hum chahte h ki aur jiye aur kuch acche kaam kare to prakrati kko bhi saath me lekar chalna hoga… ek aise dost ki tarah sath reh kar chalna hoga jiske bina hm ek pal nahi reh  aur bat agar sacche dost ki aati h to hm koi comprise nahi karte aur hamesha uska dhyan rakhte h isliye agar hm prakrati ko bhi aisa hi dost banakr chale to  swal hi nhai uthta ki hm prakraati ko koi bhi nuksan pahuchayegne.. balki uski hamesha hifazat karenge.
Previous
Next Post »

1 Comments:

Click here for Comments
2 नवंबर 2015 को 5:58 am बजे ×

अच्छा लिख रही हो लेकिन हिंदी में लिखो। पहले कहीं टाइप करो और फिर ब्लॉग में डालो। शुभकामनाएं।

Congrats bro अरुण चन्द्र रॉय you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

लोकप्रिय पोस्ट